YouTube par Subscriber kaise badhaye: Jab hum ek naya Youtube Channel banate hain. Tab humko 1000 Subscriber aur 4000 Watch Hours ka Criteria complete karna hota hai. Lekin starting mein humare Channel par views nahi aate hain. Aur starting mein humen pata nahi hota hai ki views aur Subscribers kaise laye.
Aaj ke is Article mein main aapko batane vala hoon ki Youtube par Subscriber kaise badhaye.
Is Article ko padhane ke baad main yakeen ke saath keha sakta hoon ki Is Article mein diye gaye steps ko agar aap follow karenge to aapke Youtube Subscribers jaroor badhenge aur aapka Watch Time bhi pura hoga.
Isase aapke Channel par AdSense ka Approval bhi mil jayega aur aapka Channel Monetize bhi ho jaayega. Aur aapki Earning bhi start ho jaayegi.
Jaisa ki aap janate hain aaj laakhon log Youtube se Laakhon kama rahe hain. To Youtube se paise kamane ke liye aapko khud ki banayi huvi videos upload karni hai. Agar aap kisi aur ke videos ko apane Channel mein Upload kar rahe hain. To aapko ye galati nahi karna hai.
Kyun ki aapke video par Copyright Strike milega. Isase aapka Channel Monetize nahi hoga. Isliye aapko khud ki banayi huvi videos ko upload karna hai. Channel Grow hone mein kuch samay lagega lekin aapka Channel jaroor Monetize hoga.
YouTube par Subscriber kaise badhaye
Is Article mein maine Detail me bataya hai ki aap Youtube Channel par Subscriber kaise badha sakte hain. Isliye Article ko dhyan se padhe.
Also Read: Youtube Par Views Kaise Badhaye (5 Best Tarike 2023)
Quality Content Upload karna sikhe
Jab bhi aap video banate hain to aap ko apana content par focus karna hoga. Yani aapko apana video ki Quality par focus karna hai. Matlab aapko apana Video ki Picture Quality par dhyan dena hai. Aap jab bhi video shoot karte hain, to aapko video ke saath apana Audio par bhi focus karna hoga.
Kyon ki video rank hone me Audio bahut jaroori hai. Agar Audio Quality acchi nahi hai, To log aapke video ko skip karke chale jaayenge. Isliye aapko Video Quality ke saath Audio Quality par bhi dhyan dena hai.
Kuch Jaroori Baatein
- Video ki quality Full Hd mein honi chahiye
- Video lamba hona chahiye
- Audio mein koi bhi Disterbence nahi honi chahiye
- Audio Crisp aur Clear honi chahiye
Agar aap Quality Video banate hain, To dheere dheere aapke Subscriber badhenge aur views bhi badenge.
Nischit Samay Par Video Dale
Video upload karne ke liye aapko ek Time set karlena hai. Agar aap roz ek video upload kar rahe hain, ya do din mein ek video upload kar rahe hain, ya week me ek video upload kar rahe hain. To aapko video upload karne ke liye ek Time set kar lena hai.
Samajh lo ki agar aap video ko sham 5 baje upload kar rahe hain. To agala video aapko usi Time par upload karna hai. Samajh lo ki aap 2 din me ek video upload kar rahe hain, to aapko 2 din ke baad dusra video upload karna hoga.
Agar aap jaise maine bataya theek usi tarah video upload karoge. To dheere dheere Youtube aapke videos ko pahachan ne lagega. Uske baad Youtube khud aapke videos ko recommend karega, aur aapke video ko viewers ko suggest bhi karega. Jab Youtube khud recommend karta hai to aapke views to badhenge hi, saath me aapke Subscriber bhi badhenge.
Video ka Thumbnail Attractive Banaye
Jab aap video ke liye Thumbnail banate hain. To Sabse pahale aapko 2 – 3 Top Ranking videos ke Thumbnail ko dekhna padta hai. Uske baad aapko ek accha Thumbnail design karna padta hai. Jo unique ho yani un top ranking video se alag ho.
Youtube par views Thumbnail aur Branding se milte hain. Lekin starting me aapko views Thumbnail se hi milte hain. Isliye aapko ek High Quality Thumbnail banana hoga.
Aap jis bhi video ka thumbnail banaoge. Us video ka Thumbnail Attractive hona chahiye aur Clickable hona chahiye. Kyun ki ek accha Thumbnail aapko lakhon views de sakhta hai. Aur hazaron log aapke channel ko Subscribe kar sakhte hain. Isliye video ka Thumbnail important role play karta hai.
Thumbnail banane ke liye aap Canva, PixelLab, Pixlr ka use kar sakte hain.
Youtube Video par Subscribe Button lagaye
YouTube par Subscriber kaise badhaye: Jaise youtube video ke niche Subscribe button ka option hota hai. Usi tarah youtube video ke andar bhi aap ek Subscribe button laga sakte hain. Is button ko Video Watermark naam se jaana jaata hai. Is button ko aap aasani se apane video mein laga sakte hain.
Sabse pahle aapko ek Subscribe button ko Download karna hoga. Ya aap Canva app ko use karke khud bhi bana sakte hain.
Subscribe button lagane ke liye
- Sabse pahle aapko Youtube ko Desktop mode me open kar lena hai.
- Uske baad aapko apana Profile logo par click kar lena hai.
- Uske baad aapko Youtube Studio par click kar lena hai.
- Yahan par aapko Customization par click kar lena hai.
- Ab aapko Branding par click kar lena hai.
- Jaise hi aap Branding par click karoge. Aapko Video Watermark ka ek option dikhayi dega. Is par upload ka option hoga, is par click karna hai.
- Aapne jo Subscribe button download kiya tha ya banaya tha, usko upload karna hai.
- Yahan par aap Subscribe button aapke viewers ko kab dikhana hai, isko bhi aap set kar sakte hai.
- Uske baad aapko Publish par click karna hai.
Subscribe button lagane se aapke viewers aasani se aapke channel ko Subscribe kar sakte hain. Isase aapke Subscriber badhenge.
Youtube Channel ke liye Intro Jaroor Banaye
Apane channel ke liye ek Attractive Intro banana hoga. Intro banane ke liye aapko Google Play Store mein bahut saare Application mil jaayenge. In Application ke jariye aap ek Attractive Intro bana sakte hain.
Aapne bade bade youtubers ke video me Intro dekhe honge. Aapko video ki starting me thodi jankari dene ke baad Intro lagana hoga. Jisase aapka video aur bhi Attractive hoga aur log aapke channel ko Subscribe bhi karenge.
Also Read: Youtube Par Views Kaise Badhaye (5 Best Tarike 2023)
Video ka Title aur Description Acche se likhe
Ek accha Title aur accha Description aapke video ko rank kara sakta hai. Isliye aapko acche se Research kar ke accha Title aur Description likhna hoga. Accha Title banane ke liye aap Keyword Research tool use kar sakte hain.
Aap Free Keyword Research Tool ya Google Keyword Planner, In tool ko use karke ek accha Title bana sakte hain. Google Keyword Planner ek Free Keyword Research Tool hai.
Keyword Research karne ke liye aap Youtube Application ka bhi use kar sakte hain. Aapko jis Keyword par video banana hai. Us Keyword ko aapko Youtube Search Box mein type karna hai. Jaise hi aap search karenge, us Keyword par jitane bhi Title hai vaha par show hogi. Ye vo Title hai jo log search karte hain. Inme se jo Title aapko accha lagta hai usko copy karke use kar sakte hai.
Accha Title banane ke baad aapko ek accha Description likhna hai. Description me aap Related video ka Link bhi provide kar sakte hain. Jisase aapke views badhenge aur aapke channel ko Subscribe bhi karenge.
Hashtags ka Use Karen
Aapko apana Description mein #Hashtags ka use karna hai. Hashtags use karne se aapka video rank hone ka chance hai. Agar rank hua to aapke Subscriber badhenge.
Hashtags lagane ke liye aap Top Ranking Videos ke Description check kar sakte hain. Ek video mein aap 4 se 5 Hashtags use kar sakte hain.
Hashtags kaise lagaye, samajh lo aap Youtube par Subscriber Kaise Badhaye keyword par video bana rahe hain. To iske liye Hashtags honge
#youtube #subscriber #increasesubscribers #subscriberkaisebadhaye
To is tarah aap Hashtags laga sakte hain.
Video ko Social Media Platforms par Share Karen
Agar aapke Subscriber ko badhana hai to uske liye aapko apana videos ko Social Media Platforms par share karna hoga. videos share karne ke liye aap Whatsapp, Facebook, Instagram ka use kar sakte hain. Jisase aapke Susbscriber badhenge.
Google Ads ke dwara Youtube video ko Promote Karen
Aap Google Ads ke dwara apane videos ko Promote kar ke apana channel ko grow kar sakte hain. Lekin iske liye aapko kuch paise bhi invest karne honge.
Video Promote karne ke baad Youtube aapke video ko logo ke paas bhejega. Aur jab aapke video par views aayenge to aapke Subscriber badhenge.
Agar aap ek beginner hai aur aapne sirf 1 ya 2 hi video upload kiye hain. To aapko Google Ads nahi lagana hai. Jab aap 15 se 20 video upload karoge aur aapke channel par kuch views aana start ho jaayega. Tab jaake aap Google Ads laga sakte hain.
Doston ko Subscribe karne ke liye kahe
Aap apane Doston se apana Youtube Channel ko Subscribe karne ke liye kaha sakte hain. Aur uska link bhi apane Doston ke saath share kar sakte hain. Jisase aapke channel ka views badhenge aur Subscribe bhi karenge.
Youtube Shorts Upload Karen
Agar aapke Channel par Subscriber badhana hai to aapko Youtube Shorts Upload karna hoga. Agar aapka video Trending Page par aagaya to aapke video par dher saare views aayenge aur Subscribe bhi karenge.
Agar aapne naya Channel banaya hai to aapko jaroor Youtube Shorts par video banana hoga. Kyun ki Youtube Shorts par jo views milte hain vo longer videos par nahi milte hain.
Youtube Ads lagayen
Agar aapko views badhana hai to aap Youtube Ads ke dwara apane videos ko promote kar sakte hain. Jisase apka channel grow hoga. youtube Ads ke jariye aapke Channel par views teji se badhenge. Aur aapke Channel ko Subscribe bhi karenge.
Lekin agar aap ek Beginner hai to aapko soch samajh ke Youtube Ads ko lagana hoga. kyun ki Youtube Ads lagane ke liye aapko kuch Paisa Invest karna padhega. Mere khayal se aapko starting me Youtube Ads nahi lagana hai. Jab aapke Channel par 1 ya 2 video rank honge. Tab jaake aapko Youtube Ads ko lagana hai.
Also Read: Youtube Par Views Kaise Badhaye (5 Best Tarike 2023)
FAQ (YouTube par Subscriber kaise badhaye)
1 Din mein Youtube par 1000 Subscriber kaise paayen?
Doston agar main really bata voon to aap ek Din mein 1000 Subscriber kabhi nahi laa paayenge. kyun ki iske liye mehanat ki jaroorat padti hai. aapko 15 se 20 videos upload karna padta hai. uske baad dheere dheere karke aapke videos rank hona start ho jayenge. Uske baad Automatically aapke Subscriber badhenge. Iske liye aapko wait karna padta hai. Thoda time dena padta hai. 1 Din mein 1000 Subscribers aaj tak kisine pura nahi kiya hai. Aapko pata hona chahiye.
Mujhe 1000 Subscriber free mein kaise mil sakte hain?
Free mein Subscriber gain karne ke liye aapko apane videos ko Friends ke saath Share karna Hoga aur Unko Subscribe karne ke liye batana hoga. Aapko Social Media mein bhi apane videos ko share karna hoga. Tab jaake aapko free mein Subscriber milenge.
500 Subscriber par kitane paise milate hain?
Doston aapko Subscriber ke hisab se paise nahi milte hain, Aapko paise views par milte hain.