Youtube Par Views Kaise Badhaye: Agar aap ek beginner hai, Aur aap ko pata nahin hai ki Youtube par views badhane ka tarika kya hai. To aapne bilkul sahi article par click kiya hai.
Kyun ki is article me main aapko 5 aise tarike batane vala hoon. Jin tarikon se aap asani se apane videos par views la sakte hain.
Is article ko padhane ke baad aapko mai guarantee ke saath keh sakta hoon ki aapke videos par views jaroor badhane vale hain. Aur aapke channel par 1000 subscribers aur 4000 watch hours ka criteria bhi complete ho jaayega.
Kyun ki is article mein main apana experience aapke saath share karne vala hoon.
Youtube Par Views Kaise Badhaye
Is article me diye gaye points ko agar aap follow karenge, To aap apana channel ka views badha sakte hain. Aur aap Youtube se paise kama sakte hain.
Also Read: YouTube par Subscriber kaise badhaye (2023) – 12 Best Tarike
1. Apana Topic Change Karo
Sabse pahle doston agar aap ke channel par views nahi aarahe hain. Aur aap videos upload kar kar ke thak chuke hain. To turant aapko apna topic change kar lena hai.
Agar aap apna topic nahi change karenge, To aap ke videos par views nahi badhenge. Aur aap YouTube se paise nahi kama payenge. To ye pehla tarika hai.
2. Video Upload Karte Samay Aapko Public Nahi Karna Hai
Aur dusra tarika hai doston ki aap jab bhi video upload karte hain, To aap video ko public karke publish kar dete hain. Lekin aap ko aisa nahi karna hai, aisa karne se aap ke video par views nahi aane vale Hain.
Kyon ki video upload karne ke baad aapko aadha ghanta video ko unlisted kardena hai. Aur saare settings kar lena hai. Aur video upload karne ke theek aadhe ghante ke baad aapko public karna hai.
Agar aap video upload karte hi public kardete hai. To aap ke video par jyada views nahi aayenge. To ye galati aapko nahi karna hai.
3. Sahi Title, Tag aur Thumbnail Lagao
Tisra tarika ye hai dosto ki video upload karne se pehle aap ko ek accha Title, Title ke hisab se kuch acche Tags, Aur ek accha Thumbnail bana lena hai. lekin aap aisa nahi karte ho, To aap ko ye galati nahi karna hai.
Example ke liye Aap ko 2 se 3 top ranking Youtube videos ko select kar lena hai. Aur un teeno video ki title ko nikal lena hai. Aur soch samajh ke aap ko ek accha title bana lena hai.
Uske baad aapko un teeno video me se jis video ka Thumbnail aacha lagta hai, to theek vaisa hi ek Thumbnail bana lena hai. Uske baad aap ko teeno video se tags nikal Lena hai. Aur teeno video me jo bhi common tag hai aap ko copy kar lena hai. Aur apna video me paste kar dena hai.
Is trick se aap ka video rank hone ka chance badjaata hai. Agar video rank hua to views badne vale Hain. To ye second tarika tha Youtube video par views Badhane ka.
Also Read: YouTube par Subscriber kaise badhaye (2023) – 12 Best Tarike
4. Description Sahi Tarike se Likho
Agala tarika ye hai dosto ki Description likhte samay sabse pahle aap ko apna Title ko paste kar lena hai. Uske baad video ke baare me kuch Information enter kar lena hai.
Uske baad aap ko kuch Tags, Description me bhi aad karna hai. Kyon ki ye Tag Video Rank hone me madat karte hain. Uske saath aapo similar video ka link bhi add karna hai, aur social media ka link bhi provide karna hai.
Uske baad aap ko kuch Hashtags bhi add karna hai. Is tarah aap ko ek accha Description likh lena hai. To ye bhi ek reason ho sakta hai video views badhane me.
5. Thumbnail Change Karo
Jo last tarika hai dosto ki agar video upload karne ke 1 din baad Ctr 5% se niche rahata hai, To aap ko apna Thumbnail change kar lena hai.
Agar aap Thumbnail change nahi karte hain, To aap ke video par views nahi ane vale hain. kyonki Youtube khud kehta hai ki agar aapke video ka Ctr 5% se niche hai, to uska matlab aapne achha Thumbnail nahi banaya hai.
Isliye aap ko apna Thumbnail change kar lena hai. To ye bhi ek reason ho sakta hai video rank hone ka.
Youtube Par Views Kaise Badhaye
To in tarikon ko follow karke aap apane videos ka views badha sakte hain. Agar in tarikon ko follow karne ke baad aapke video ka views nahi badh rahe hain. To aapko turant apana channel ka topic change kar lena hai.
FAQ
Youtube par views lane ke liye aapko roj 1 video upload karna padhega. Uske saath aapko apna Thumbnail par bhi focus karna hoga. Kyun ki ek accha Thumbnail video rank karne mein madat karta hai. Uske saath aapko longer videos Banana hai, Kyun ki video rank hone me video ka length bhi bahut jaruri hai.
Mujhe Youtube par views kyon nahin mil rahe hain?
Video par agar views nahi aarahe hain to aapko apani galati ko find karna hai. agar aap apani galati ko pehachan lete hain to ek din aap jaroor ek accha Youtuber banoge.
Free main Youtube par 1000 views kaise praapt karen?
Doston aapko legal tarike se videos par views lane hain. Agar aap free ke chekkar mein galat tarike se views lane ki koshish karte hain. To aapko starting mein views to milenge lekin dheere dheere aapke channel par views aana stop ho jaayega.
Youtube par views kaise praapt karen?
Youtube par views lane ke koi second tarika nahi hai. Agar aapko Youtube se paisa kamana hai. To aapko jaise maine is article mein bataya hai, us tarike se videos dalna hai. aur apana channel ko grow karna hai.
Final Word
To video upload karte samay aapko in 5 tarikon ko dhyan me rakhna hai. In tarikon se aap ke videos par views jaroor badhenge. Ummid karta hoon ki aap ko ye article pasand aaya hoga. Milte hain ek aur nayi article main dhanyavaad.